Isee liye aapkee shamat ayee
Mujhe yah Malum nahee tha
Kee mere bade bhai ne hee mang
Liya tha vah jo mera adhikar tha
Par mujhe pata nahee unhone
Vah wapis kiya ya nahee
Wapas main kar sakta hun may sood
par Main vapis karun kisko
Apko ya apkee bahin ko
Vaise bhee devar
Dwitiya var hee hota hai
Par mai de sakta hu apko
Do Var- do var Main kah raha hun
Double nahee na hee Bar(English) ka amantran
aap jab chahen le len
Ye do var
Kaikeyee kee tarah
par iske pahle to mujhe kisi dusre ko bhee lana hoga
Yah sab dekh hee rah
gaye honge Raja Ram akele.
Ab na to mere bhai hee hain
Kee main puchhunga unse kee
Ki Unka kya hisab bacha rah
Gaya tha apse
Jab vah hee nahee bache to
Kya bacha rah gaya hai jamane me
Main Jamata nahee
Main Jaamaata bhee nahee kiseeka
Ek seedha sada lakeer ka fakeer
Jidhar chal jaye
vahee ho jayegee Lakeer
Main sochta that jabab
Par Yah ho gayee Kavita
Holi to chalee gayee
Yah bhee ho lee
Ab jo aap bachee hain
Vah aap bachchee(baby) nahee hain
Par sab bachche banana chate hain
Aaur bache hee rahna chahte hain
Apne bhee koshish kam nahee kee thee
bache rahme kee
Par bhagya ne apko bacha diya
Aaur sath hee de diya var
Jiskle saath aap ho jati hain kanya
Aaur main to koi kanya rashi vala bhee nahee hun
Singh ghas nahee khaya karte hain
Abto vah bakree bhee nahee khate
jabse Gandhi ne bana liya hai chela
Bura mat dekho
Bura mat suno
Bura mat bolo
Bas yahee hai kismat meree
Mere bhai kee kismat achee thee
jab tak jeeye achha jeeye
Natak likhe, Natak Khele
natak khatm kar chal diye
Aaur ham hath malte rah gaye
Apne kyon unkee yaad dilayee
Isee liye aapkee shamat ayee.
Dhanakar 16.3.09
Vanha kya tum jaoge
Main bhee parhee thee
Thodi thodi Madhushala
Par bhul gaya usko jab
Muje maloom hua kee
Mere man me hai jangal
Madhu ka
Mere tan me bhee hai lohu
madhu ka
Jab Ganga Jamuna miltee hai
Sangam to hota hee hai
Par Triveni kee veni
Saras bhutal chal jatee hai
Bade hote vah nahee
Jinhe chhaya Badi Milee ho
Bade hote vah hee jo
Chhaya dete hain sabon ko
Kisne dekha hai Akshyavatke
Us biye ko jisne kabhee
Diya hoga janm
us vishal Vatvriksh ko
Saras saraswati ke veene se
Jhankrit
Utthan Manuj ka tab hota hai
Bade bade uth jate hain
Laghu bhee bade ban jate hain
Karm ya prarabdh
Yaksh prashna
Shesh rah jata hai
Vah jata hai Madhubshala me
Vah ramta hai Madhubala me
Vah ant nahee pata hai
Akshar, ashesh,
Dekhta hai Nirnimesh
Vanha kya tum jaoge
Vanhee sabh kuchh paoge
-Dhanakar 16.3.09
कुछ भी कर लो
ख़ुशी मना लो ,
अपने देश ko yadi ho bhule
Khushi tumhari rah jayegi
Mandi me vah bik jayegi..
16.3.09
Akele kaise jaogee
Akele kaise jaogee
Yah prashna bhee hai jatil
par sabon ko ant me
akele hee jana hai
Khalee hath
Akele aaye the(yadi aap twin no hon)
Par yadi twin bhee hon to akele he
jayenge
yadi na ho sath me antim yatra
Kisee Plane crash me.
Abhyas kiya keejiye akele jane ka
Adesh n mile to karne long march
Mian Nawaz Sharif kee tarah
Bhutto bhee akele gaye
Benzeer bhee akelee gaye
Ab jayenge zardari
Chahe aap kitnee bhee
Kar len unkee tarfdaree
-Dhanakar
Monday, March 16, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
आय स अहाँक नाम कवि धनाकर ठाकुर भगेल . कविता नीक लागल.
Post a Comment